Chaak ki khwahish agar wehshat ba-uryaani kare
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 21 chapter_title: "Chaak ki khwahish agar wehshat ba-uryaani kare" chapter_slug: "21-chaak-ki-khwahish-agar-wehshat-ba-uryaani-kare" variant_id: "f8e80b38-af7d-4dbc-b0b8-d631a432f644" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 69 estimated_read_time: 1
Chaak ki khwahish agar wehshat ba-uryaani kare Subah ke maanind zakhm-e-dil girebaani kare
Jalway ka tere woh aalam hai ke gar keeje khayal Deeda-e-dil ko ziyarat-gaah-e-hairaani kare
Hai shikastan se bhi dil naumeed ya Rab kab talak Aabgeena koh par arz-e-giraan-jaani kare
Mai-kada gar chashm-e-mast-e-naaz se paave shikast Moo-e-sheesha deeda-e-saaghar ki mizhgaani kare
Khatt-e-aariz se likha hai zulf ko ulfat ne ahd Yak-qalam manzoor hai jo kuch pareshani kare