Bisaat-e-ijz mein tha ek dil, yak qatra-e-khoon, woh bhi
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 20 chapter_title: "Bisaat-e-ijz mein tha ek dil, yak qatra-e-khoon, woh bhi" chapter_slug: "20-bisaat-e-ijz-mein-tha-ek-dil-yak-qatra-e-khoon-woh" variant_id: "35d5d0f2-88ce-4197-8386-87902acf0f0a" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 151 estimated_read_time: 1
Bisaat-e-ijz mein tha ek dil, yak qatra-e-khoon, woh bhi So rehta hai ba-andaaz-e-chakidan sar-nigoon woh bhi
Rahe us shokh se aazurda hum chande takalluf se Takalluf bar-taraf tha ek andaaz-e-junoon woh bhi
Khayal-e-marg kab taskeen dil-e-aazurda ko bakhshe Mere daam-e-tamanna mein hai ek said-e-zaboon woh bhi
Na karta kaash naala, mujh ko kya maloom tha hamdam Ke hoga baais-e-afzaaish-e-dard-e-daroon woh bhi
Na itna burrish-e-tegh-e-jafa par naaz farmaao Mere darya-e-betaabi mein hai ek mauj-e-khoon woh bhi
Mai-e-ishrat ki khwahish saaqi-e-gardoon se kya keeje Liye baitha hai ek do chaar jaam-e-waaj-goon woh bhi
Mere dil mein hai 'Ghalib' shauq-e-vasl o shikwa-e-hijraan Khuda woh din kare jo us se main yeh bhi kahoon woh bhi
Mujhe maloom hai jo tu ne mere haq mein socha hai Kahin ho jaaye jald ae gardish-e-gardoon-e-doon woh bhi
Nazar raahat pe meri kar na waada shab ke aane ka Ke meri khwaab-bandi ke liye hoga fusoon woh bhi