Zikr us pari-vash ka aur phir bayaan apna
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 209 chapter_title: "Zikr us pari-vash ka aur phir bayaan apna" chapter_slug: "209-zikr-us-pari-vash-ka-aur-phir-bayaan-apna" variant_id: "7ed77d17-99f9-4b30-a259-6b32ad6a3451" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 123 estimated_read_time: 1
Zikr us pari-vash ka aur phir bayaan apna Ban gaya raqeeb aakhir tha jo raazdaan apna
May woh kyun bahut peete bazm-e-ghair mein ya rab Aaj hi hua manzoor un ko imtihaan apna
Manzar ek bulandi par aur hum bana sakte Arsh se udhar hota kaash ke makaan apna
De woh jis qadar zillat hum hansi mein taalein-ge Baare aashna nikla unka paasbaan apna
Dard-e-dil likhoon kab tak jaaun unko dikhla doon Ungliyaan fagaar apni khaama khoonchakaan apna
Ghiste ghiste mit jaata aap ne abas badla Nang-e-sajda se mere sang-e-aastaan apna
Ta kare na ghammaazi kar liya hai dushman ko Dost ki shikaayat mein humne hum-zubaan apna
Hum kahaan ke daana the kis hunar mein yakta the Be-sabab hua Ghalib dushman aasmaan apna