Woh firaaq aur woh visaal kahan
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 199 chapter_title: Woh firaaq aur woh visaal kahan chapter_slug: "199-woh-firaaq-aur-woh-visaal-kahan" variant_id: "6c2f6593-ee69-48c8-afc3-57f36e57145e" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 98 estimated_read_time: 1
Woh firaaq aur woh visaal kahan Woh shab-o-roz o maah-o-saal kahan
Fursat-e-kaarobaar-e-shauq kisey Zauq-e-nazzara-e-jamaal kahan
Dil toh dil woh dimaagh bhi na raha Shor-e-sauda-e-khatt-o-khaal kahan
Thi woh ek shakhs ke tasavvur se Ab woh ra'naai-e-khayal kahan
Aisa aasaan nahi lahu rona Dil mein taaqat jigar mein haal kahan
Hum se chhoota qimaar-khana-e-ishq Waan jo jaavein girah mein maal kahan
Fikr-e-duniya mein sar khapata hoon Main kahan aur yeh wabaal kahan
Muzmahil ho gaye quwa Ghalib Woh anaasir mein e'tidaal kahan
Bosa mein woh muzaaiqa na kare Par mujhe taaqat-e-sawaal kahan
Falak-e-sifla be-muhaaba hai Iss sitamgar ko infi'aal kahan