Waan pahunch kar jo ghash aata paye_ham hai hum ko
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 195 chapter_title: Waan pahunch kar jo ghash aata paye_ham hai hum ko chapter_slug: "195-waan-pahunch-kar-jo-ghash-aata-paye-ham-hai-hum-ko" variant_id: "7c1d2569-6a6f-4051-a0b7-0c3f5c71fd27" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 178 estimated_read_time: 1
Waan pahunch kar jo ghash aata paye_ham hai hum ko Sad_rah aahang_zameen bos_qadam hai hum ko Dil ko main aur mujhe dil mahv_wafa rakhta hai Kis qadar zauq_giraftari_ham hai hum ko Zoaf se naqsh_paye_mor hai tauq_gardan Tere kooche se kahan taaqat_ram hai hum ko Jaan kar keeje taghaful keh kuch ummeed bhi ho Yeh nigaah_ghalat_andaaz to sam hai hum ko Rashk_ham_tarhi o dard_asar_baang_hazin Nala-e_murgh_sahar tegh_do_dam hai hum ko Sar udaane ke jo waade ko mukarrar chaaha Hans ke bole keh tere sar ki qasam hai hum ko Dil ke khoon karne ki kya wajah walekin naachaar Paas_be_raunaqi_deeda aham hai hum ko Lucknow aane ka baa'is nahin khulta ya'ani Havas_sair_o_tamasha so woh kam hai hum ko Maqta_silsila-e_shauq nahin hai yeh shehar Azm_sair_Najaf_o_tauf_Haram hai hum ko Liye jaati hai kahin ek tavaqqo Ghalib Jaada-e_rah kashish_kaaf_karam hai hum ko Abr rota hai keh bazm_tarab aamadah karo Barq hansti hai keh fursat koi dam hai hum ko Taaqat ranj-e-safar bhi nahin paate itni Hijr-e-yaaran watan ka bhi alam hai hum ko Laayi hai Mo'tamid-ud-Daulah Bahadur ki ummeed Jaada-e-rah kashish-e-kaaf-e-karam hai hum ko