Be-e'tedaaliyon se subuk sab mein hum huay
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 18 chapter_title: "Be-e'tedaaliyon se subuk sab mein hum huay" chapter_slug: "18-be-etedaaliyon-se-subuk-sab-mein-hum-huay" variant_id: "5fb74a24-1b10-4296-a3a9-eec640bb4725" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 149 estimated_read_time: 1
Be-e'tedaaliyon se subuk sab mein hum huay Jitne zyaada ho gaye utne hi kam huay
Pinhan tha daam sakht qareeb aashiyaan ke Udne na paaye thay ke giraftaar hum huay
Hasti hamari apni fana par daleel hai Yaan tak mite ke aap hum apni qasam huay
Sakhti-kashaan-e-ishq ki poochhe hai kya khabar Woh log rafta rafta saraapa alam huay
Teri wafa se kya ho talaafi ke dehr mein Tere siwa bhi hum pe bohot se sitam huay
Likhte rahe junoon ki hikaayaat-e-khoon-chakaan Har-chand us mein haath hamare qalam huay
Allah re teri tundi-e-khoo jiss ke beem se Ajzaa-e-naala dil mein mere rizq-e-hum huay
Ahl-e-hawas ki fateh hai tark-e-nabard-e-ishq Jo paanv uth gaye wohi un ke alam huay
Naale adam mein chand hamare supurd thay Jo waan na khinch sake so woh yaan aa ke dam huay
Chhori Asad na hum ne gadaai mein dil-lagi Saail huay toh aashiq-e-ahl-e-karam huay