Bask-e dushwaar hai har kaam ka aasaan hona
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 16 chapter_title: "Bask-e dushwaar hai har kaam ka aasaan hona" chapter_slug: "16-bask-e-dushwaar-hai-har-kaam-ka-aasaan-hona" variant_id: "844ad994-6ea0-41df-8f5c-e5c22e478b9b" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 114 estimated_read_time: 1
Bask-e dushwaar hai har kaam ka aasaan hona Aadmi ko bhi mayassar nahi insaan hona
Giriya chaahe hai kharaabi mere kaashaane ki Dar-o-deewaar se tapke hai bayaabaan hona
Waaye deewangi-e-shauq ke har dam mujh ko Aap jaana udhar aur aap hi hairaan hona
Jalwa az-bas-ke taqaaza-e-nigah karta hai Jauhar-e-aaina bhi chaahe hai mizhgaan hona
Ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamanna mat poochh Eid-e-nazzaara hai shamsheer ka uryaan hona
Le gaye khaak mein hum daagh-e-tamanna-e-nishaat Tu ho aur aap ba-sad-rang-e-gulistaan hona
Ishrat-e-paara-e-dil, zakhm-e-tamanna khaana Lazzat-e-reesh-e-jigar, gharq-e-namakdaan hona
Ki mere qatl ke baad uss ne jafa se tauba Haaye uss zood-e-pashemaan ka pashemaan hona
Haif uss chaar girah kapde ki qismat Ghalib Jis ki qismat mein ho aashiq ka garebaan hona