Nahin ke mujh ko qayamat ka aiteqad nahin
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 151 chapter_title: Nahin ke mujh ko qayamat ka aiteqad nahin chapter_slug: "151-nahin-ke-mujh-ko-qayamat-ka-aiteqad-nahin" variant_id: "cb3da45c-08c6-4b2d-965b-a669e118eb33" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 116 estimated_read_time: 1
Nahin ke mujh ko qayamat ka aiteqad nahin Shab-e-firaaq se roz-e-jaza ziyaad nahin
Koi kahe ke shab-e-mah mein kya burai hai Bala se aaj agar din ko abr-o-baad nahin
Jo aaun saamne un ke to marhaba na kahein Jo jaaun waan se kahin ko to khairbad nahin
Kabhi jo yaad bhi aata hoon main to kehte hain Ke aaj bazm mein kuchh fitna-o-fasaad nahin
Alaawa eid ke milti hai aur din bhi sharaab Gada-e-koocha-e-mai-khana na-murad nahin
Jahan mein ho gham-e-shaadi baham hamein kya kaam Diya hai hum ko Khuda ne woh dil ke shaad nahin
Tum unke waade ka zikr un se kyun karo Ghalib Yeh kya ke tum kaho aur woh kahein ke yaad nahin