Naala-e-dil mein shab andaaz-e-asar naayaab tha
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 149 chapter_title: "Naala-e-dil mein shab andaaz-e-asar naayaab tha" chapter_slug: "149-naala-e-dil-mein-shab-andaaz-e-asar-naayaab-tha" variant_id: "5d9cd755-2e7f-4153-97e3-0ea9664d8fad" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 138 estimated_read_time: 1
Naala-e-dil mein shab andaaz-e-asar naayaab tha Tha sipand-e-bazm-e-vasl-e-ghair go betaab tha
Dekhte the hum ba-chashm-e-khud woh toofan-e-bala Aasmaan-e-sifla jis mein yak-kaf-e-sailaab tha
Mauj se paida hue pairahan-e-dariya mein khaar Giriya-e-vahshat be-qaraar-e-jalwa-e-mahtaab tha
Josh-e-takleef-e-tamasha mahshar-aabaad nigaah Fitna-e-khwaabeeda ko aaina musht-e-aab tha
Be-khabar mat keh humein be-dard khud-beeni se poochh Qulzam-e-zauq-e-nazar mein aaina paayaab tha
Be-dili haaye Asad afsurdagi aahang-tar Yaad-e-ayyaam ke zauq-e-suhbat-e-ahbaab tha
Maqdam-e-sailaab se dil kya nishaat-aahang hai Khaana-e-aashiq magar saaz-e-sadaa-e-aab tha
Naazish-e-ayyaam-e-khaakastar-nasheeni kya kahun Pehlu-e-andesha waqf-e-bistar-e-sanjaab tha
Kuchh na ki apni junoon-e-na-rasa ne varna yaan Zarra zarra ru-kash-e-khursheed-e-aalam-taab tha
Aaj kyun parwa nahin apne aseeron ki tujhe Kal talak tera bhi dil mehr-o-wafa ka baab tha
Yaad kar woh din ke har yak halqa tere daam ka Intezaar-e-said mein ik deeda-e-be-khwaab tha
Main ne roka raat Ghalib ko wagarna dekhte Us ke sail-e-giriya mein gardoon kaf-e-sailaab tha