Kyun jal gaya na taab-e-rukh-e-yaar dekh kar
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 117 chapter_title: "Kyun jal gaya na taab-e-rukh-e-yaar dekh kar" chapter_slug: "117-kyun-jal-gaya-na-taab-e-rukh-e-yaar-dekh-kar" variant_id: "35f346cb-c754-47f8-8193-022d960edf26" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 166 estimated_read_time: 1
Kyun jal gaya na taab-e-rukh-e-yaar dekh kar Jalta hoon apni taaqat-e-deedaar dekh kar
Aatish-parast kehte hain ahl-e-jahan mujhe Sargarm-e-naala-haaye-shararbaar dekh kar
Kya aabru-e-ishq jahan aam ho jafa Rukta hoon tum ko be-sabab aazaar dekh kar
Aata hai mere qatl ko par josh-e-rashk se Marta hoon us ke haath mein talwaar dekh kar
Saabit hua hai gardan-e-meena peh khoon-e-khalq Larze hai mauj-e-mai teri raftaar dekh kar
Wa-hasrata ke yaar ne khencha sitam se haath Hum ko harees-e-lazzat-e-aazaar dekh kar
Bik jaate hain hum aap mataa-e-sukhan ke saath Lekin ayaar-e-taba-e-kharidaar dekh kar
Zunnar baandh subha-e-sad-daana tod daal Rah-rau chale hai raah ko hamvaar dekh kar
In aablon se paaon ke ghabra gaya tha main Jee khush hua hai raah ko pur-khaar dekh kar
Kya bad-gumaan hai mujh se ke aaiine mein mere Tooti ka aks samjhe hai zangaar dekh kar
Girni thi hum peh barq-e-tajalli na Toor par Dete hain baada zarf-e-qadah-khwaar dekh kar
Sar phodna woh Ghalib-e-shoreeda haal ka Yaad aa gaya mujhe teri deewaar dekh kar