Kehte ho na denge hum dil agar pada paaya
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 107 chapter_title: Kehte ho na denge hum dil agar pada paaya chapter_slug: "107-kehte-ho-na-denge-hum-dil-agar-pada-paaya" variant_id: "c51d113c-0b0a-4dcd-9d82-0a0e99f7f0c6" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 207 estimated_read_time: 1
Kehte ho na denge hum dil agar pada paaya Dil kahan ke gum keeje hum ne mudda'a paaya
Ishq se tabiyat ne zeest ka maza paaya Dard ki dawa paayi dard-e-be-dawa paaya
Dost-daar-e-dushman hai aitimaad-e-dil maloom Aah be-asar dekhi naala na-rasa paaya
Saadgi o purkaari, be-khudi o hoshiyari Husn ko taghaful mein jurrat-aazma paaya
Ghuncha phir laga khilne aaj hum ne apna dil Khoon kiya hua dekha, gum kiya hua paaya
Haal-e-dil nahi maloom lekin is qadar yaani Hum ne baarha dhoonda, tum ne baarha paaya
Shor-e-pand-e-naaseh ne zakhm par namak chhidka Aap se koi pooche tum ne kya maza paaya
Hai kahan tamanna ka doosra qadam Ya Rab Hum ne dasht-e-imkaan ko ek naqsh-e-paa paaya
Be-dimaagh-e-khijlat hoon rashk-e-imtehaan ta-kay Ek bekasi tujh ko aalam-aashna paaya
Khaak-baazi-e-ummeed kaarkhana-e-tifli Yaas ko do-aalam se lab-ba-khanda wa paaya
Kyun na vehshat-e-Ghalib baaj-khwah-e-taskeen ho Kushta-e-taghaful ko khasm-e-khoon-baha paaya
Fikr-e-naala mein goya halqa hoon za-sar-ta-paa Uzw uzw joon zanjeer yak-dil-sada paaya
Shab nazaara-parwar tha khwaab mein khayaal us ka Subah mauja-e-gul ko naqsh-e-boriya paaya
Jis qadar jigar khoon ho, koocha daadan-e-gul hai Zakhm-e-tegh-e-qaatil ko turfa dil-kusha paaya
Hai makeen ki paa-daari naam-e-saahib-khana Hum se tere kooche ne naqsh-e-mudda'a paaya
Ne Asad jafa-saail ne sitam junoon-maail Tujh ko jis qadar dhoonda ulfat-aazma paaya