Haqeeqat-e-Husn
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "9bc58cbd-ab40-4264-bd01-6e5bddf3e11f" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-2-9bc58c" work_title: "Bang-E-Dara Part 2" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 12 chapter_title: "Haqeeqat-e-Husn" chapter_slug: "12-haqeeqat-e-husn" variant_id: "d60864eb-3824-48fd-9b12-5b3ec3cd3853" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 109 estimated_read_time: 1
Haqeeqat-e-Husn (Haqeeqat-e-Husn)
Khuda se husn ne ik roz yeh sawaal kiya Jahaan mein kyun na mujhe tu ne la-zawaal kiya
Mila jawaab keh tasveer-khaana hai duniya Shab-e-daraaz adam ka fasaana hai duniya
Hui hai rang-e-taghayyur se jab namood iski Wohi haseen hai haqeeqat zawaal hai jiski
Kaheen qareeb tha, yeh guftugu qamar ne suni Falak pe aam hui, akhtar-e-sehar ne suni
Sehar ne taare se sun kar sunaai shabnam ko Falak ki baat bata di zameen ke mehram ko
Bhar aaye phool ke aansu payaam-e-shabnam se Kali ka nanha sa dil khoon ho gaya gham se
Chaman se rota hua mausam-e-bahaar gaya Shabaab sair ko aaya tha, sogwaar gaya