Rukhsat Ae Bazm-e-Jahan
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 35 chapter_title: "Rukhsat Ae Bazm-e-Jahan" chapter_slug: "35-rukhsat-ae-bazm-e-jahan" variant_id: "d6a70d44-37e7-447f-81a6-42f91224d4b6" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 319 estimated_read_time: 2
Rukhsat Ae Bazm-e-Jahan (Rukhsat Ae Bazm-e-Jahan)
Rukhsat Ae bazm-e-jahan! soo-e-watan jaata hoon main Aah! Is aabaad veeraane mein ghabraata hoon main Bas-ke main afsurda dil hoon, darkhur-e-mehfil nahin Tu mere qaabil nahin hai, main tere qaabil nahin Qaid hai, darbaar-e-sultan o shabistaan-e-wazeer Tod kar niklega zanjeer-e-tilaai ka aseer Go badi lazzat teri hangama-aaraai mein hai Ajnabiyat si magar teri shanasai mein hai Muddaton tere khud-araaon se hum-suhbat raha Muddaton be-taab mauj-e-behr ki soorat raha Muddaton baitha tere hangama-e-ishrat mein main Roshni ki justujoo karta raha zulmat mein main Muddaton dhoonda kiya nazara-e-gul khaar mein Aah, woh Yusuf na haath aaya tere bazaar mein Chashm-e-hairaan dhoondti ab aur nazaare ko hai Aarzoo saahil ki mujh toofan ke maare ko hai Chhod kar maanind-e-boo tera chaman jaata hoon main Rukhsat ae bazm-e-jahan! soo-e-watan jaata hoon main Ghar banaya hai sukoot-e-daaman-e-kohsaar mein Aah! Yeh lazzat kahan mausiqi-e-guftaar mein Hum-nasheen-e-nargis-e-shehla, rafeeq-e-gul hoon main Hai chaman mera watan, hamsaaya-e-bulbul hoon main Shaam ko aawaz chashmon ki sulaati hai mujhe Subah farsh-e-sabz se koyal jagaati hai mujhe Bazm-e-hasti mein hai sab ko mehfil-aaraai pasand Hai dil-e-shaayar ko lekin kunj-e-tanhaai pasand Hai junoon mujh ko ke ghabraata hoon aabaadi mein main Dhoondta phirta hoon kis ko koh ki waadi mein main? Shauq kis ka sabza-zaaron mein phiraata hai mujhe Aur chashmon ke kinaare par sulaata hai mujhe? Ta'ana-zan hai tu ke shaida kunj-e-uzlat ka hoon main Dekh ae ghaafil! payaami-e-bazm-e-qudrat ka hoon main Hum-watan shamshaad ka, qumri ka main hum-raaz hoon Is chaman ki khaamoshi mein gosh-bar-aawaz hoon Kuch jo sunta hoon to auron ko sunaane ke liye Dekhta hoon kuch to auron ko dikhaane ke liye Aashiq-e-uzlat hai dil, naazaan hoon apne ghar pe main Khanda-zan hoon masnad-e-Dara-o-Iskandar pe main Letna zer-e-shajar rakhta hai jaadoo ka asar Shaam ke taare pe jab padti ho reh reh kar nazar Ilm ke hairat-kade mein hai kahan is ki namood! Gul ki patti mein nazar aata hai raaz-e-hast-o-bood