Parinde Ki Faryad
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 34 chapter_title: Parinde Ki Faryad chapter_slug: "34-parinde-ki-faryad" variant_id: "d4f1a0a2-1c11-4fcd-a382-8ba2a1bb5360" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 190 estimated_read_time: 1
Parinde Ki Faryad (Parinde Ki Faryad)
Woh baagh ki bahaarein woh sab ka chehchahana Aazaadiyaan kahan woh ab apne ghonsle ki
Apni khushi se aana apni khushi se jaana Lagti hai chot dil par, aata hai yaad jis dam
Shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskurana Woh pyaari pyaari surat, woh kaamini si moorat
Aabaad jis ke dam se tha mera aashiyana Aati nahin sadaaein uss ki mere qafas mein
Hoti meri rihaai ae kaash mere bas mein! Kya bad-naseeb hoon main ghar ko taras raha hoon
Saathi toh hain watan mein, main qaid mein pada hoon Aayi bahaar kaliyaan phoolon ki hans rahi hain
Main iss andhere ghar mein qismat ko ro raha hoon Iss qaid ka Ilaahi! dukhda kise sunaaun
Dar hai yahin qafas mein main gham se mar na jaaun Jab se chaman chhoota hai, yeh haal ho gaya hai
Dil gham ko kha raha hai, gham dil ko kha raha hai Gaana isse samajh kar khush hon na sun'ne waale
Dukhe huey dilon ki faryaad yeh sada hai Azaad mujh ko kar de, o qaid karne waale!
Main be-zubaan hoon qaidi, tu chhod kar dua le