Mehr-e-roshan
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 32 chapter_title: "Mehr-e-roshan" chapter_slug: "32-mehr-e-roshan" variant_id: "5e9c3f4c-1079-446f-8172-4621565c1f31" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 406 estimated_read_time: 2
Mehr-e-roshan chhip gaya, uthi naqaab-e-roo-e-shaam Shaana-e-hasti pe hai bikhra hua gesu-e-shaam Yeh siyah-poshi ki tayyari kis ke gham mein hai Mehfil-e-qudrat magar khursheed ke maatam mein hai Kar raha hai aasmaan jaadu lab-e-guftaar par Saahir-e-shab ki nazar hai deeda-e-bedaar par Ghota-zan darya-e-khamoshi mein hai mauj-e-hawa Haan, magar ik door se aati hai aawaaz-e-dara Dil ke hai betaabi-e-ulfat mein duniya se nafoor Khench laaya hai mujhe hangaama-e-aalam se door Manzar-e-hirmaan naseebi ka tamashayi hoon main Hum-nasheen-e-khuftagaan-e-kunj-e-tanhaai hoon main Tham zara betaabi-e-dil! baith jaane de mujhe Aur is basti pe chaar aansu giraane de mujhe Ae mai-e-ghaflat ke sar-masto, kahaan rehte ho tum Kuch kaho is des ki aakhir, jahaan rehte ho tum Woh bhi hairat-khaana-e-imroz-o-farda hai koi? Aur paikaar-e-anaasir ka tamasha hai koi? Aadmi waan bhi hisaar-e-gham mein hai mehsoor kya? Is vilaayat mein bhi hai insaan ka dil majboor kya? Waan bhi jal marta hai soz-e-shama par parwana kya? Is chaman mein bhi gul-o-bulbul ka hai afsaana kya? Yaan toh ik misre mein pehlu se nikal jaata hai dil Sher ki garmi se kya waan bhi pighal jaata hai dil? Rishta-o-paiwand yaan ke jaan ka aazaar hain Is gulistaan mein bhi kya aise nokeelay khaar hain? Is jahaan mein ik maeeshat aur sau aftaad hai Rooh kya is des mein is fikr se azaad hai? Kya wahan bijli bhi hai, dehqaan bhi hai, khirman bhi hai? Qaaflay waale bhi hain, andesha-e-rehzan bhi hai? Tinke chunte hain wahan bhi aashiyaan ke waaste? Khisht-o-gil ki fikr hoti hai makaan ke waaste? Waan bhi insaan apni asliyat se begaane hain kya? Imtiyaaz-e-millat-o-aaeen ke deewane hain kya? Waan bhi kya faryaad-e-bulbul par chaman rota nahin? Is jahaan ki tarah waan bhi dard-e-dil hota nahin? Baagh hai firdaus ya ik manzil-e-aaraam hai? Ya rukh-e-be-parda husn-e-azal ka naam hai? Kya jahannum ma'siyat-sozi ki ik tarkeeb hai? Aag ke sholon mein pinhaan maqsad-e-taweeb hai? Kya ewaz raftaar ke is des mein parwaaz hai? Maut kehte hain jise ehl-e-zameen, kya raaz hai? Iztiraab-e-dil ka saamaan yaan ki hast-o-bood hai Ilm-e-insaan is vilaayat mein bhi kya mehdood hai? Deed se taskeen paata hai dil-e-mahjoor bhi? 'Lan taraani' keh rahe hain ya wahan ke Toor bhi? Justujoo mein hai wahan bhi rooh ko aaraam kya? Waan bhi insaan hai qateel-e-zauq-e-istifhaam kya? Aah! woh kishwar bhi taareeki se kya ma'moor hai? Ya mohabbat ki tajalli se sarapa noor hai? Tum bata do raaz jo is gumbad-e-gardaan mein hai Maut ik chubhta hua kaanta dil-e-insaan mein hai
══════════════════════════════════════════════════════════════════════