Maah-e-Nau
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 30 chapter_title: "Maah-e-Nau" chapter_slug: "30-maah-e-nau" variant_id: "ec4a9642-6031-4caa-8241-850b13b760d8" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 102 estimated_read_time: 1
Maah-e-Nau
Toot kar khurshid ki kashti hui gharqaab-e-neel Ek tukda tairta phirta hai roo-e-aab-e-neel
Tasht-e-gardoon mein tapakta hai shafaq ka khoon-e-naab Nishtar-e-qudrat ne kya kholi hai fasd-e-aaftaab
Charkh ne baali chura li hai uroos-e-shaam ki Neel ke paani mein ya machhli hai seem-e-khaam ki
Qaafila tera rawaan be-minnat-e-baang-e-dara Gosh-e-insaan sun nahin sakta teri aawaaz-e-paa
Ghatne badhne ka samaan aankhon ko dikhlaata hai tu Hai watan tera kidhar, kis des ko jaata hai tu
Saath ae sayyara-e-saabit-numa le chal mujhe Khaar-e-hasrat ki khalish rakhti hai ab be-kal mujhe
Noor ka taalib hoon, ghabraata hoon is basti mein main Tiflak-e-seemab-paa hoon maktab-e-hasti mein main