Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Bang-E-Dara Part 1

    Bang-E-Dara Part 1

    Farishte

    Allama Iqbal

    transliterator: thothica

    work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 23 chapter_title: Farishte chapter_slug: "23-farishte" variant_id: "07ac05d5-0878-4797-9db1-813eeef33c78" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 310 estimated_read_time: 2

    Farishte Padhte hain jis ko woh naam hai tera Badi Janaab teri, faiz aam hai tera Sitare Ishq ke teri kashish se hain qaaim Nizaam Mehr ki soorat nizaam hai tera Teri Lahad ki ziyarat hai zindagi dil ki Masih o Khizr se ooncha maqaam hai tera Nihaan Hai teri mohabbat mein rang-e-mehboobi Badi Hai shaan, bada ehteraam hai tera Agar Siyah dil-am, daagh-e-lala zaar-e-tu am Wa Gar kushaada jabeen-am, gul-e-bahaar-e-tu am Chaman Ko chhod ke nikla hoon misl-e-nikhat-e-gul Hua Hai sabr ka manzoor imtehaan mujh ko Chali Hai le ke watan ke nigaar-khaane se Sharaab Ilm ki lazzat kashaan kashaan mujh ko Nazar Hai abr-e-karam par, darakht-e-sehra hoon Kiya Khuda ne na mohtaaj-e-baaghbaan mujh ko Falak Nasheen sifat-e-mehr hoon zamaane mein Teri Dua se ata ho woh nardubaan mujh ko Maqaam Hum-safaron se hua is qadar aage Ke Samjhe manzil-e-maqsood kaarwaan mujh ko Meri Zubaan-e-qalam se kisi ka dil na dukhe Kisi Se shikwa na ho zer-e-asmaan mujh ko Dilon Ko chaak kare misl-e-shaana jis ka asar Teri Janaab se aisi mile fighaan mujh ko Banaya Tha jise chun chun ke khaar-o-khas mein ne Chaman Mein phir nazar aaye woh aashiyaan mujh ko Phir Aa rakhoon qadam maadar-o-pidar pe jabeen Kiya Jinhon ne mohabbat ka raazdaan mujh ko Woh Shama-e-baargah-e-khaandaan-e-Murtazvi Rahe Ga misl-e-haram jis ka aastaan mujh ko Nafas Se jis ke khuli meri aarzoo ki kali Banaya Jis ki murawwat ne nukta-daan mujh ko Dua Yeh kar ke Khuda-wand-e-aasmaan-o-zameen Kare Phir us ki ziyarat se shaadmaan mujh ko Woh Mera Yusuf-e-saani woh shama-e-mehfil-e-ishq Hui Hai jis ki ukhuwwat qaraar-e-jaan mujh ko Jala Ke jis ki mohabbat ne daftar-e-man-o-tu Hawaa-e- Aish mein paala, kiya jawaan mujh ko Riyaaz Dehr mein maanind-e-gul rahe khandaan Ke Hai azeez tar az jaan woh jaan-e-jaan mujh ko Shagufta Ho ke kali dil ki phool ho jaaye ! Yeh Iltija-e-musafir qubool ho jaaye !