Junoon ki dastgiri kis se ho gar ho na uryaani
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 96 chapter_title: Junoon ki dastgiri kis se ho gar ho na uryaani chapter_slug: "96-junoon-ki-dastgiri-kis-se-ho-gar-ho-na-uryaani" variant_id: "32871ad5-28ed-4dcf-92b5-e811899d2e6c" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 126 estimated_read_time: 1
Junoon ki dastgiri kis se ho gar ho na uryaani Garebaan-chaak ka haq ho gaya hai meri gardan par
Ba-rang-e-kaaghaz-e-aatish-zada nairang-e-betaabi Hazaar aaina dil baandhe hai baal-e-yak-tapeendan par
Falak se hum ko aish-e-rafta ka kya kya taqaaza hai Mataa-e-burda ko samjhe hue hain qarz-e-rahzan par
Hum aur woh be-sabab ranj-aashna dushman ke rakhta hai Shuaa-e-mehr se tohmat nigah ki chashm-e-rozen par
Fana ko saunp gar mushtaaq hai apni haqeeqat ka Farogh-e-taala-e-khaashaak hai mauqoof-e-gulkhan par
Asad bismil hai kis andaaz ka qaatil se kehta hai Ke mashq-e-naaz kar khoon-e-do-aalam meri gardan par
Fusoon-e-yak-dili hai lazzat-e-bedaad dushman par Ke wajd-e-barq joon parwana baal-afshaan hai khirman par
Takalluf khaar-khaar-e-iltimaas-e-be-qaraari hai Ke rishta baandhta hai pairahan angusht-e-sozan par
Yeh kya wehshat hai ae deewane pesh-az-marg waawela Rakhi beja bina-e-khaana-e-zanjeer-e-shewan par