Hum par jafa se tark-e-wafa ka gumaan nahi
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 76 chapter_title: "Hum par jafa se tark-e-wafa ka gumaan nahi" chapter_slug: "76-hum-par-jafa-se-tark-e-wafa-ka-gumaan-nahi" variant_id: "d9f9bd9a-efd7-4c3a-8164-7f507232db26" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 230 estimated_read_time: 1
Hum par jafa se tark-e-wafa ka gumaan nahi Ik chhed hai wagarna muraad imtihaan nahi
Kis munh se shukr kijiye is lutf-e-khaas ka Pursish hai aur paaye-sukhan darmiyaan nahi
Hum ko sitam azeez sitam-gar ko hum azeez Na-mehrbaan nahi hai agar mehrbaan nahi
Bosa nahi na dijiye dushnaam hi sahi Aakhir zabaan toh rakhte ho tum gar dahaan nahi
Har-chand jaan-gudaazi-e-qehr-o-itaab hai Har-chand pusht-garmi-e-taab-o-tawaan nahi
Jaan mutrib-e-taraana-e-hal min mazeed hai Lab pardah-sanj-e-zamzama-e-al-amaan nahi
Khanjar se cheer seena agar dil na ho do-neem Dil mein chhuri chubho mizha gar khoon-chakaan nahi
Hai nang-e-seena dil agar aatish-kada na ho Hai aar-e-dil nafas agar aazar-fishaan nahi
Nuqsaan nahi junoon mein bala se ho ghar kharaab Sau gaz zameen ke badle bayaabaan giraan nahi
Kehte ho kya likha hai teri sar-nawisht mein Goya jabeen pe sajda-e-but ka nishaan nahi
Paata hoon is se daad kuch apne kalaam ki Rooh-ul-qudus agarche mera hum-zabaan nahi
Jaan hai bahaaye-bosa walay kyun kahe abhi Ghalib ko jaanta hai ke woh neem-jaan nahi
Jis jaa ke paaye-sail-e-bala darmiyaan nahi Deewaanagaan ko waan hawas-e-khaanmaan nahi
Gul ghunchagi mein gharqa-e-dariya-e-rang hai Aye aagahi fareb-e-tamaasha kahaan nahi
Kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubool Barg-e-hina magar mizha-e-khoon-fishaan nahi
Har rang-e-gardish aayina eejaad-e-dard hai Ashk-e-sahaab juz ba-widaa-e-khizaan nahi
Juz ijz kya karoon ba-tamanna-e-be-khudi Taaqat hareef-e-sakhti-e-khwaab-e-giraan nahi
Ibrat se poochh dard-e-pareshaani-e-nigaah Yeh gard-e-weham juz basar-e-imtihaan nahi
Barq-e-bajaan-e-hausla aatish-figan Asad Aye dil-fasurda taaqat-e-zabt-e-faghaan nahi