Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Diwan-E-Ghalib

    Diwan-E-Ghalib

    zulmat-kade mein mere shab-e-gham ka josh hai

    Mirza Ghalib

    transliterator: thothica

    work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 239 chapter_title: "zulmat-kade mein mere shab-e-gham ka josh hai" chapter_slug: "239-zulmat-kade-mein-mere-shab-e-gham-ka-josh-hai" variant_id: "926ba000-37c9-4166-bb6d-7e6571a07c07" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 138 estimated_read_time: 1

    zulmat-kade mein mere shab-e-gham ka josh hai ik shama hai daleel-e-sahar so khamosh hai

    ne muzhda-e-visaal na nazzara-e-jamaal muddat hui ke aashti-e-chashm-o-gosh hai

    mai ne kiya hai husn-e-khud-aara ko be-hijaab ae shauq! haan ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai

    gauhar ko aqd-e-gardan-e-khoobaan mein dekhna kya auj par sitara-e-gauhar-farosh hai

    deedaar, baada, hausla-e-saaqi, nigaah-e-mast bazm-e-khayaal mai-kada-e-be-kharosh hai

    ae taaza waaridaan-e-bisaat-e-hawa-e-dil zinhaar agar tumhein hawas-e-naa-o-nosh hai

    dekho mujhe jo deeda-e-ibrat-nigaah ho meri suno jo gosh-e-naseehat-niyosh hai

    saaqi ba-jalwa dushman-e-imaan-o-aagahi mutrib ba-naghma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai

    ya shab ko dekhte the ke har gosha-e-bisaat daaman-e-baaghbaan o kaf-e-gul-farosh hai

    lutf-e-khiraam-e-saaqi o zauq-e-sada-e-chang yeh jannat-e-nigaah woh firdous-e-gosh hai

    ya subh-dam jo dekhiye aa kar to bazm mein ne woh suroor-o-soz na josh-o-kharosh hai

    daagh-e-firaaq-e-suhbat-e-shab ki jali hui ik shama reh gayi hai so woh bhi khamosh hai

    aate hain ghaib se yeh mazaameen khayaal mein Ghalib, sareer-e-khaama nawa-e-sarosh hai