Yak zarra-e-zameen nahin be-kaar baagh ka
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 202 chapter_title: "Yak zarra-e-zameen nahin be-kaar baagh ka" chapter_slug: "202-yak-zarra-e-zameen-nahin-be-kaar-baagh-ka" variant_id: "08b64d08-a051-4502-b4e4-b2a9a58ba6a8" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 97 estimated_read_time: 1
Yak zarra-e-zameen nahin be-kaar baagh ka Yaan jaada bhi fateela hai laale ke daagh ka
Be-mai kise hai taaqat-e-aashob-e-aagahi Kheencha hai ajz-e-hausla ne khat-e-ayaagh ka
Bulbul ke kaarobaar pe hain khanda-haaye-gul Kehte hain jis ko ishq khalal hai dimaagh ka
Taaza nahin hai nasha-e-fikr-e-sukhan mujhe Tiryaaki-e-qadeem hoon dood-e-charaagh ka
Sau baar band-e-ishq se aazaad hum hue Par kya karein ke dil hi adu hai faraagh ka
Be-khoon-e-dil hai chashm mein mauj-e-nigah ghubaar Yeh mai-kada kharaab hai mai ke suraagh ka
Baagh-e-shagufta tera bisaat-e-nishaat-e-dil Abr-e-bahaar khum-kada kis ke dimaagh ka?
Josh-e-bahaar-e-kulfat-e-nazaara hai 'Asad' Hai abr pamba rozan-e-deewar-e-baagh ka