Reham kar zaalim ke kya bood-e-charaagh-e-kushta hai
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 171 chapter_title: "Reham kar zaalim ke kya bood-e-charaagh-e-kushta hai" chapter_slug: "171-reham-kar-zaalim-ke-kya-bood-e-charaagh-e-kushta-h" variant_id: "0df2845e-a99e-4c7b-af7e-9c54255fbf87" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 50 estimated_read_time: 1
Reham kar zaalim ke kya bood-e-charaagh-e-kushta hai Nabz-e-bimaar-e-wafaa dood-e-charaagh-e-kushta hai
Dil-lagi ki aarzoo be-chain rakhti hai hamein Warna yaan be-raunaqi sood-e-charaagh-e-kushta hai
Nasha-e-mai be-chaman dood-e-charaagh-e-kushta hai Jaam daagh-e-shola-andood-e-charaagh-e-kushta hai
Daagh-e-rabt-e-baham hain ahl-e-baagh gar gul ho shaheed Laala chashm-e-hasrat-aalood-e-charaagh-e-kushta hai
Shor hai kis bazm ki arz-e-jaraahat-khaana ka Subah yak-bazm-e-namak sood-e-charaagh-e-kushta hai