Loon waam bakht-e-khufta se yak-khwaab-e-khush walay
19th Century Mirza Ghalib Urdutransliterator: thothica
work_id: "74ed4c1c-c3d2-47b4-b350-4539659ce0f9" work_slug: "mirza-ghalib-diwan-e-ghalib-74ed4c" work_title: "Diwan-E-Ghalib" author_name: Mirza Ghalib chapter_number: 127 chapter_title: "Loon waam bakht-e-khufta se yak-khwaab-e-khush walay" chapter_slug: "127-loon-waam-bakht-e-khufta-se-yak-khwaab-e-khush-wal" variant_id: "63c59c51-7cf0-4a9e-b476-e7639b551bea" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 89 estimated_read_time: 1
Loon waam bakht-e-khufta se yak-khwaab-e-khush walay Ghalib yeh khauf hai ke kahan se ada karoon
Khush wehshatay ke arz-e-junoon-e-fana karoon Joon gard-e-raah jaama-e-hasti qaba karoon
Aa ae bahaar-e-naaz ke tere khiraam se Dastaar gard-e-shaakh-e-gul-e-naqsh-e-pa karoon
Khush uftaadgi ke ba-sehraa-e-intezaar Joon jaada gard-e-rah se nigeh surma-saa karoon
Sabr aur yeh ada ke dil aaway aseer-e-chaak Dard aur yeh kameen ke rah-e-naala waa karoon
Woh be-dimaagh-e-minnat-e-iqbaal hoon ke main Wehshat ba-daagh-e-saaya-e-baal-e-huma karoon
Woh iltimaas-e-lazzat-e-be-daad hoon ke main Tegh-e-sitam ko pusht-e-kham-e-iltija karoon
Woh raaz-e-naala hoon ke ba-sharh-e-nigaah-e-ijz Afshaan ghubaar-e-surma se fard-e-sada karoon