Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Bang-E-Dara Part 3

    Bang-E-Dara Part 3

    Khitab ba Jawanan-e-Islam

    Allama Iqbal

    transliterator: thothica

    work_id: "cc61e86c-ca8b-4714-8f37-fe742b33069d" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-3-cc61e8" work_title: "Bang-E-Dara Part 3" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 13 chapter_title: "Khitab ba Jawanan-e-Islam" chapter_slug: "13-khitab-ba-jawanan-e-islam" variant_id: "3b609eee-c95f-4c1f-b581-c8b06d48e0d6" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 215 estimated_read_time: 1

    Khitab ba Jawanan-e-Islam (Khitab ba Jawanan-e-Islam)

    Kabhi Ae naujawan Muslim! tadabbur bhi kiya tu ne Woh Kya gardoon tha tu jiss ka hai ek toota hua taara Tujhe Iss qaum ne paala hai aaghosh-e-mohabbat mein Kuchal Daala tha jiss ne paaon mein taaj-e-sar-e-Dara Tamaddun Aafreen, khallaq-e-aaeen-e-jahan-daari Woh Sehra-e-Arab yaani shutr-baanon ka gehwaara Samaan 'Al-faqru fakhri' ka raha shaan-e-amarat mein ''Ba-aab o rang o khaal o khat che haajat ru-e-zeba ra'' Gadaai Mein bhi woh Allah walay thay ghayoor itne Ke Mun'im ko gada ke darr se bakhshish ka na tha yaara Gharz Mein kya kahun tujh se ke woh sehra-nasheen kya thay Jahan Geer o jahan-daar o jahan-baan o jahan-aara Agar Chahoon toh naqsha kheench kar alfaaz mein rakh doon Magar Tere takhayyul se fuzoon-tar hai woh nazara Tujhe Aaba se apne koi nisbat ho nahin sakti Ke Tu guftaar, woh kirdaar; tu saabit, woh sayyara Ganwa Di hum ne jo aslaaf se meeras paayi thi Surayya Se zameen par aasmaan ne hum ko de maara Hukumat Ka toh kya rona ke woh ek aarzi shai thi Nahin Dunya ke aaeen-e-musallam se koi chaara Magar Woh ilm ke moti, kitaabein apne aaba ki Jo Dekhein unko Europe mein toh dil hota hai si-paara ''Ghani! roz-e-siyah peer-e-Kanaan ra tamasha kun, ke noor-e-deedah-ash roshan kunad chashm-e-Zulekha ra''