Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "cc61e86c-ca8b-4714-8f37-fe742b33069d" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-3-cc61e8" work_title: "Bang-E-Dara Part 3" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 4 chapter_title: Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai chapter_slug: "04-dil-se-jo-baat-nikalti-hai-asar-rakhti-hai" variant_id: "96463e2d-5d22-44da-b869-a4bac688521e" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 1545 estimated_read_time: 7
Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai Par nahin, taaqat-e-parwaaz magar rakhti hai Qudsi-ul-asal hai, rif'at pe nazar rakhti hai Khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai Ishq tha fitna-gar-o-sarkash-o-chaalaak mera Aasmaan cheer gaya naala-e-bebaak mera
Peer-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi Bole sayyare, sar-e-arsh-e-bareen hai koi Chaand kehta tha, nahin! ahl-e-zameen hai koi Kehkashaan kehti thi, posheeda yahin hai koi Kuch jo samjha mere shikwe ko toh Rizwaan samjha Mujhe jannat se nikaala hua insaan samjha
Thi farishton ko bhi hairat ke yeh awaaz hai kya Arsh waalon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya Ta sar-e-arsh bhi insaan ki tag-o-taaz hai kya! Aa gayi khaak ki chutki ko bhi parwaaz hai kya! Ghaafil aadaab se sukkaan-e-zameen kaise hain Shokh-o-gustaakh yeh pasti ke makeen kaise hain!
Is qadar shokh ke Allah se bhi barham hai Tha jo masjood-e-malaa'ik, yeh wohi Aadam hai! Aalim-e-kaif hai, daana-e-rumooz-e-kam hai Haan magar ijz ke asraar se na-mehram hai Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko Baat karne ka saliqa nahin naadaanon ko
Aayi aawaaz, gham-angez hai afsaana tera Ashk-e-betaab se labrez hai paimaana tera Aasmaan-geer hua naara-e-mastaana tera Kis qadar shokh-zubaan hai dil-e-deewana tera Shukr shikwe ko kiya husn-e-adaa se tu ne Hum-sukhan kar diya bandon ko Khuda se tu ne
Hum toh maa'il ba-karam hain, koi saa'il hi nahin Raah dikhlaayein kise, rehraw-e-manzil hi nahin Tarbiyat aam toh hai, jauhar-e-qaabil hi nahin Jis se taameer ho Aadam ki, yeh woh gil hi nahin Koi qaabil ho toh hum shaan-e-kai dete hain Dhoondne waalon ko duniya bhi nayi dete hain
Haath be-zor hain, ilhaad se dil khoogar hain Ummati baa'is-e-ruswaai-e-paighambar hain But-shikan uth gaye, baaqi jo rahe but-gar hain Tha Ibrahim pidar aur pisar Aazar hain Baada-aashaam naye, baada naya, khum bhi naye Haram-e-Kaaba naya, but bhi naye, tum bhi naye
Woh bhi din the ke yahi maaya-e-ra'naai tha Naazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraai tha Jo Musalmaan tha, Allah ka saudaai tha Kabhi mehboob tumhara yahi harjaai tha Kisi yakjaai se ab ahd-e-ghulaami kar lo Millat-e-Ahmad-e-Mursal ko maqaami kar lo!
Kis qadar tum pe garaan subah ki bedaari hai Hum se kab pyaar hai! Haan neend tumhein pyaari hai Taba-e-aazaad pe qaid-e-Ramzaan bhaari hai Tumhi keh do yahi aaeen-e-wafaadari hai? Qaum mazhab se hai, mazhab jo nahin, tum bhi nahin Jazb-e-baaham jo nahin, mehfil-e-anjum bhi nahin
Jin ko aata nahin duniya mein koi fan, tum ho Nahin jis qaum ko parwaa-e-nasheman, tum ho Bijliyaan jis mein hon aasoodah, woh khirman tum ho Bech khaate hain jo aslaaf ke madfan, tum ho Ho niko-naam jo qabron ki tijaarat karke Kya na bechoge jo mil jaayein sanam patthar ke?
Safha-e-dehr se baatil ko mitaaya kis ne? Nau-e-insaan ko ghulaami se chhudaaya kis ne? Mere Kaabe ko jabeenon se basaaya kis ne? Mere Qur'an ko seenon se lagaaya kis ne? The toh aaba woh tumhaare hi, magar tum kya ho Haath par haath dhare muntazir-e-farda ho!
Kya kaha! Bahr-e-Musalmaan hai faqat waada-e-hoor Shikwa-e-beja bhi kare koi toh laazim hai sha'oor Adl hai faatir-e-hasti ka azal se dastoor Muslim-aa'een hua kaafir toh mile hoor-o-qusoor Tum mein hooron ka koi chaahne waala hi nahin Jalwa-e-Toor toh maujood hai, Moosa hi nahin
Manfa'at ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek Ek hi sab ka Nabi, Deen bhi, Imaan bhi ek Haram-e-Paak bhi, Allah bhi, Qur'an bhi ek Kuch badi baat thi hote jo Musalmaan bhi ek? Firqa-bandi hai kahin aur kahin zaatein hain Kya zamaane mein panapne ki yahi baatein hain?
Kaun hai taarik-e-aaeen-e-Rasool-e-Mukhtaar? Maslihat waqt ki hai kis ke amal ka me'yaar? Kis ki aankhon mein samaaya hai shi'aar-e-aghyaar? Ho gayi kis ki nigeh tarz-e-salaf se bezaar? Qalb mein soz nahin, rooh mein ehsaas nahin Kuch bhi paighaam-e-Muhammad ka tumhein paas nahin
Jaake hote hain masaajid mein saf-aara, toh ghareeb Zehmat-e-roza jo karte hain gawaara, toh ghareeb Naam leta hai agar koi hamara, toh ghareeb Parda rakhta hai agar koi tumhara, toh ghareeb Umara nasha-e-daulat mein hain ghaafil hum se Zinda hai millat-e-baiza ghareebon ke dam se
Waa'iz-e-qaum ki woh pukhta-khayaali na rahi Barq-tab'ee na rahi, sho'la-maqaali na rahi Reh gayi rasm-e-azaan, rooh-e-Bilaali na rahi Falsafa reh gaya, talqeen-e-Ghazaali na rahi Masjidein marsiya-khwaan hain ke namaazi na rahe Yaani woh saahib-e-ausaaf-e-Hijaazi na rahe
Shor hai, ho gaye duniya se Musalmaan naabood Hum yeh kehte hain ke the bhi kahin Muslim maujood! Waza mein tum ho Nasaara toh tamaddun mein Hunood Yeh Musalmaan hain! Jinhein dekh ke sharmaayein Yahood Yoon toh Syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho Tum sabhi kuch ho, batao toh Musalmaan bhi ho!
Dam-e-taqreer thi Muslim ki sadaaqat be-baak Adl uska tha qawi, laus-e-maraa'aat se paak Shajar-e-fitrat-e-Muslim tha haya se nam-naak Tha shujaa'at mein woh ek hasti-e-fauq-ul-idraak Khud-gudaazi nam-e-kaifiyat-e-sehbaayash bood Khaali az khwesh shudan soorat-e-meenaayash bood
Har Musalmaan rag-e-baatil ke liye nashtar tha Us ke aaina-e-hasti mein amal jauhar tha Jo bharosa tha use quwwat-e-baazu par tha Hai tumhein maut ka dar, us ko Khuda ka dar tha Baap ka ilm na bete ko agar azbar ho Phir pisar qaabil-e-meeraas-e-pidar kyun-kar ho!
Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaani hai Tum Musalmaan ho! Yeh andaaz-e-Musulmaani hai! Haidari faqr hai ne daulat-e-Usmaani hai Tum ko aslaaf se kya nisbat-e-roohaani hai? Woh zamaane mein mo'azzaz the Musalmaan ho kar Aur tum khwaar hue taarik-e-Qur'an ho kar
Tum ho aapas mein ghazab-naak, woh aapas mein raheem Tum khata-kaar-o-khata-been, woh khata-posh-o-kareem Chaahte sab hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem Pehle waisa koi paida toh kare qalb-e-saleem Takht-e-Faghfoor bhi un ka tha, sareer-e-Kay bhi Yoon hi baatein hain ke tum mein woh hamiyyat hai bhi?
Khud-kushi shewa tumhara, woh ghayoor-o-khud-daar Tum ukhuwwat se gurezaan, woh ukhuwwat pe nisaar Tum ho guftaar saraapa, woh saraapa kirdaar Tum taraste ho kali ko, woh gulistaan ba-kinaar Ab talak yaad hai qaumon ko hikaayat un ki Naqsh hai safha-e-hasti pe sadaaqat un ki
Misl-e-anjum ufaq-e-qaum pe raushan bhi hue But-e-Hindi ki mohabbat mein Barahman bhi hue Shauq-e-parwaaz mein mehjoor-e-nasheman bhi hue Be-amal the hi jawaan, deen se bad-zan bhi hue Un ko tehzeeb ne har band se aazaad kiya Laa ke Kaabe se sanam-khaane mein aabaad kiya
Qais zehmat-kash-e-tanhaai-e-sehra na rahe Shehr ki khaaye hawa, baadiya-paimaa na rahe Woh toh deewana hai, basti mein rahe ya na rahe Yeh zaroori hai hijaab-e-rukh-e-Laila na rahe! Gila-e-jaur na ho, shikwa-e-bedaad na ho Ishq aazaad hai, kyun husn bhi aazaad na ho!
Ahd-e-nau barq hai, aatish-zan-e-har khirman hai Aiman is se koi sehra na koi gulshan hai Is nayi aag ka aqwaam-e-kuhan eendhan hai Millat-e-Khatm-e-Rusul sho'la ba-pairaahan hai Aaj bhi ho jo Ibrahim ka imaan paida Aag kar sakti hai andaaz-e-gulistaan paida
Dekh kar rang-e-chaman ho na pareshaan maali Kaukab-e-ghuncha se shaakhein hain chamakne waali Khas-o-khaashaak se hota hai gulistaan khaali Gul bar-andaaz hai khoon-e-shuhada ki laali Rang gardoon ka zara dekh toh unnaabi hai Yeh nikalte hue suraj ki ufaq-taabi hai
Ummatein gulshan-e-hasti mein samar-cheeda bhi hain Aur mehroom-e-samar bhi hain, khizaan-deeda bhi hain Sainkron nakhl hain, kaaheeda bhi, baaleeda bhi hain Sainkron batn-e-chaman mein abhi posheeda bhi hain Nakhl-e-Islam namoona hai baroomandi ka Phal hai yeh sainkron sadiyon ki chaman-bandi ka
Paak hai gard-e-watan se sar-e-daamaan tera Tu woh Yusuf hai ke har Misr hai Kan'aan tera Qaafila ho na sakega kabhi veeraan tera Ghair-e-yak baang-e-dara kuch nahin saamaan tera Nakhl-e-shama asti-o-dar sho'la dood resha-e-tu Aaqibat-soz bawad saaya-e-andesha-e-tu
Tu na mit jaayega Iran ke mit jaane se Nasha-e-mai ko ta'alluq nahin paimaane se Hai ayaan yurish-e-Tataar ke afsaane se Paasbaan mil gaye Kaabe ko sanam-khaane se Kashti-e-haq ka zamaane mein sahaara tu hai Asr-e-nau raat hai, dhundla sa sitaara tu hai
Hai jo hungama bapa yurish-e-Bulghaari ka Ghafilon ke liye paighaam hai bedaari ka Tu samajhta hai yeh saamaan hai dil-aazaari ka Imtihaan hai tere isaar ka, khud-daari ka Kyun haraasaan hai saheel-e-faras-e-a'ada se Noor-e-haq bujh na sakega nafas-e-a'ada se
Chashm-e-aqwaam se makhfi hai haqeeqat teri Hai abhi mehfil-e-hasti ko zaroorat teri Zinda rakhti hai zamaane ko haraarat teri Kaukab-e-qismat-e-imkaan hai khilaafat teri Waqt-e-fursat hai kahaan, kaam abhi baaqi hai Noor-e-Tauheed ka itmaam abhi baaqi hai
Misl-e-boo qaid hai ghunche mein, pareshaan hoja Rakht-bar-dosh-e-hawaa-e-chamanistaan hoja Hai tanak-maaya toh zarre se bayaabaan hoja Naghma-e-mauj se hungaama-e-toofaan hoja! Quwwat-e-ishq se har past ko baala kar de Dehr mein ism-e-Muhammad se ujaala kar de
Ho na yeh phool toh bulbul ka tarannum bhi na ho Chaman-e-dehr mein kaliyon ka tabassum bhi na ho Yeh na saaqi ho toh phir mai bhi na ho, khum bhi na ho Bazm-e-Tauheed bhi duniya mein na ho, tum bhi na ho Khaima aflaak ka istaada isi naam se hai Nabz-e-hasti tapish-aamaada isi naam se hai
Dasht mein, daaman-e-kohsaar mein, maidaan mein hai Behr mein, mauj ki aaghosh mein, toofaan mein hai Cheen ke shehr, Maraakash ke bayaabaan mein hai Aur posheeda Musalmaan ke imaan mein hai Chashm-e-aqwaam yeh nazaara abad tak dekhe Rif'at-e-shaan 'Rafa'naa laka zikrak' dekhe
Murdum-e-chashm-e-zameen ya'ni woh kaali duniya Woh tumhaare shuhada paalne waali duniya Garmi-e-mehr ki parwarda 'Hilaali' duniya Ishq waale jise kehte hain 'Bilaali' duniya Tapish-andoz hai is naam se paare ki tarah Ghota-zan noor mein hai aankh ke taare ki tarah
Aql hai teri sipar, ishq hai shamsheer teri Mere darwesh! Khilaafat hai jahaan-geer teri Ma-siwa Allah ke liye aag hai Takbeer teri Tu Musalmaan ho toh taqdeer hai tadbeer teri Ki Muhammad se wafa tu ne toh hum tere hain Yeh jahaan cheez hai kya, Lauh-o-Qalam tere hain