Insaan
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "9bc58cbd-ab40-4264-bd01-6e5bddf3e11f" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-2-9bc58c" work_title: "Bang-E-Dara Part 2" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 14 chapter_title: Insaan chapter_slug: "14-insaan" variant_id: "708dd95e-97a2-4377-a71d-360e47f44a07" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 101 estimated_read_time: 1
Insaan (Insaan)
Qudrat ka ajeeb yeh sitam hai ! Insaan ko raaz jo banaya Raaz uss ki nigaah se chhupaya Be taab hai zauq-e-aagahi ka Khulta nahin bhed zindagi ka Hairat aaghaaz-o-inteha hai Aaeene ke ghar mein aur kya hai Hai garm-e-khiraam mauj-e-darya Darya su-e-sehar jaada paima Baadal ko hawa uda rahi hai Shaanon pe uthaye la rahi hai Taare mast-e-sharaab-e-taqdeer Zindaan falak mein pa-ba-zanjeer Khursheed , woh aabid-e-sehar-khaiz Laane wala payaam-e-bar-khaiz Maghrib ki pahaadiyon mein chhup kar Peeta hai mai-e-shafaq ka saaghar Lazzat geer-e-wujood har shai Sar mast-e-mai-e-namood har shai Koi nahin gham-gusaar insaan Kya talkh hai rozgaar insaan !