Comma for either/or — dharma, courage. Spelling forgiving — corage finds courage.

    Cover for Bang-E-Dara Part 2

    Bang-E-Dara Part 2

    Zamana aaya hai be-hijabi ka, aam deedaar-e-yaar hoga

    Allama Iqbal

    transliterator: thothica

    work_id: "9bc58cbd-ab40-4264-bd01-6e5bddf3e11f" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-2-9bc58c" work_title: "Bang-E-Dara Part 2" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 5 chapter_title: "Zamana aaya hai be-hijabi ka, aam deedaar-e-yaar hoga" chapter_slug: "05-zamana-aaya-hai-be-hijabi-ka-aam-deedaar-e-yaar-ho" variant_id: "32b49a4f-599d-418a-97e9-34996411e44e" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 336 estimated_read_time: 2

    Zamana aaya hai be-hijabi ka, aam deedaar-e-yaar hoga

    Zamana aaya hai be-hijabi ka, aam deedaar-e-yaar hoga Sukoot tha parda-daar jiska, woh raaz ab aashkaar hoga Guzar gaya ab woh daur-e-saqi ke chhup ke peete the peene waale Banega saara jahan maikhana, har koi baada-khwaar hoga Kabhi jo aawara-e-junoon the, woh bastiyon mein phir aa basenge Barahna-paai wohi rahegi magar naya khaarzaar hoga Suna diya gosh-e-muntazir ko Hijaz ki khamoshi ne aakhir Ahd sahraiyon se baandha gaya tha, phir ustawaar hoga Nikal ke sehra se jis ne Rooma ki saltanat ko ulat diya tha Suna hai yeh qudsiyon se main ne, woh sher phir hoshiyaar hoga Kiya mera tazkira josaqi ne baada-khwaron ki anjuman mein Peer-e-maikhana sun ke kehne laga ke munh-phat hai, khwaar hoga Diyar-e-maghrib ke rehne waalo! Khuda ki basti dukaan nahin hai Khara jise tum samajh rahe ho, woh ab zar-e-kam-ayaar hoga Tumhari tehzeeb apne khanjar se aap hi khudkushi karegi Jo shaakh-e-naazuk pe aashiyana banega, na-paaidaar hoga Safeena-e-barg-e-gul bana lega qafla-e-mor-e-natawaan ka Hazaar maujon ki ho kashakash magar yeh darya se paar hoga Chaman mein laala dikhaata phirta hai daagh apna kali kali ko Yeh jaanta hai ke is dikhaawe se dil jalon mein shumaar hoga Ek tha ae nigaah tu ne hazaar kar ke humein dikhaya Yehi agar kaifiyat hai teri toh phir kise aitbaar hoga Kaha jo qumri se main ne ik din, yahan ke azaad pa-ba-gil hain Toh ghunche kehne lage, hamare chaman ka yeh raazdaar hoga Khuda ke aashiq toh hain hazaaron, banon mein phirte hain maare maare Main iska banda banunga jisko Khuda ke bandon se pyaar hoga Rasm-e-bazm-e-fana hai ae dil! Gunah hai jumbish-e-nazar bhi Rahegi kya aabru hamari jo tu yahan be-qarar hoga Main zulmat-e-shab mein le ke niklunga apne darmaanda kaarwaan ko Sharar-fishaan hogi aah meri, nafas mera shola-baar hoga Nahin hai ghair az namood kuch bhi jo mudda'a teri zindagi ka Ik nafas mein jahan se mitna tujhe misaal-e-sharaar hoga Poochh Iqbal ka thikana abhi wohi kaifiyat hai uski Kahin sar-e-rahguzar baitha sitam-kash-e-intezaar hoga