Shama
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 40 chapter_title: Shama chapter_slug: "40-shama" variant_id: "0684f5e5-ca25-4cbc-87a2-1f1ab24f2901" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 379 estimated_read_time: 2
Shama (Shama)
Bazm jahan mein main bhi hoon ae shama! dardmand Faryaad dar girah sifat-e-daana-e-sipand Di ishq ne hararat-e-soz-e-daroon tujhe Aur gul farosh-e-ashk-e-shafaq goon kiya mujhe Ho shama-e-bazm-e-aish ke shama-e-mazaar tu Har haal ashk-e-gham se rahi hamkinaar tu Yak been teri nazar sifat-e-aashiqan-e-raaz Meri nigaah maaya-e-aashob-e-imtiyaz Kaabe mein, but-kade mein hai yaksaan teri ziya Main imtiyaz-e-dair-o-haram mein phansa hua Hai shaan aah ki tere dood-e-siyah mein Posheeda koi dil hai teri jalwa-gah mein? Jalti hai tu ke barq-e-tajalli se door hai Be dard tere soz ko samjhe ke noor hai Tu jal rahi hai aur tujhe kuch khabar nahin Beena hai aur soz-e-daroon par nazar nahin Main josh-e-iztiraab se seemab waar bhi Aagah iztiraab-e-dil-e-beqarar bhi Tha yeh bhi koi naaz kisi be-niyaaz ka Ehsaas de diya mujhe apne gudaaz ka Yeh aagahi meri mujhe rakhti hai be-qaraar Khwabeeda is sharar mein hain aatish-kade hazaar Yeh imtiyaz-e-rif'at-o-pasti isi se hai Gul mein mehak, sharaab mein masti isi se hai Bustaan o bulbul o gul o boo hai yeh aagahi Asl kashakash-e-man-o-tu hai yeh aagahi Subh azal jo husn hua dilistaan-e-ishq Aawaz 'Kun' hui tapish-aamoz-e-jaan-e-ishq Yeh hukm tha ke gulshan 'Kun' ki bahaar dekh Ek aankh le ke khwaab-e-pareshan hazaar dekh Mujh se khabar na pooch hijaab-e-wujood ki Shaam firaaq subah thi meri namood ki Woh din gaye ke qaid se main aashna na tha Zaib darakht-e-Toor mera aashiyana tha Qaidi hoon aur qafas ko chaman jaanta hoon main Ghurbat ke gham-kade ko watan jaanta hoon main Yaad e-watan fasurdagi-e-be-sabab bani Shauq nazar kabhi, kabhi zauq-e-talab bani Ae shama! intehaaye fareb-e-khayal dekh Masjood saakinan-e-falak ka ma'aal dekh Mazmoon firaaq ka hoon, surayya nishaan hoon main Aahang taba-e-naazim-e-kaun-o-makaan hoon main Baandha mujhe jo us ne to chaahi meri namood Tehreer kar diya sar-e-diwan-e-hast-o-bood Gohar ko musht-e-khaak mein rehna pasand hai Bandish agarche sust hai, mazmoon buland hai Chashm ghalat-nigar ka yeh saara qusoor hai Aalam zahoor-e-jalwa-e-zauq-e-sha'oor hai Yeh silsila zamaan-o-makaan ka, kamand hai Tauq gulooye husn-e-tamasha pasand hai Manzil ka ishtiyaaq hai, gum-kardah-raah hoon Ae shama! main aseer-e-fareb-e-nigaah hoon Sayyad aap, halqa-e-daam-e-sitam bhi aap Baam haram bhi, taair-e-baam-e-haram bhi aap ! Main husn hoon ke ishq sarapa gudaaz hoon Khulta nahin ke naaz hoon main ya niyaaz hoon Haan , aashnaaye lab ho na raaz-e-kuhan kahin Phir chhid na jaaye qissa-e-daar-o-rasan kahin