Dard-e-Ishq
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 17 chapter_title: "Dard-e-Ishq" chapter_slug: "17-dard-e-ishq" variant_id: "060cf25f-16b0-4972-909e-b7945c23c7cb" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 176 estimated_read_time: 1
Dard-e-Ishq (Dard-e-Ishq)
Ae Dard-e-ishq! hai gohar-e-aab-daar tu Na-mehramon mein dekh na ho aashkaar tu Pinhaan teh-e-niqaab teri jalwa-gaah hai Zaahir parast mehfil-e-nau ki nigaah hai Aayi nayi hawa chaman-e-hast-o-bood mein Ae dard-e-ishq! ab nahin lazzat namood mein Haan khud-numaaiyon ki tujhe justujoo na ho Minnat pazeer-e-naala-e-bulbul ka tu na ho ! Khaali sharaab-e-ishq se laale ka jaam ho Paani ki boond girya-e-shabnam ka naam ho Pinhaan daroon-e-seena kahin raaz ho tera Ashk jigar gudaaz na ghammaaz ho tera Goya zabaan-e-shaair-e-rangeen bayaan na ho Aawaaz ne mein shikwa-e-furqat nihaan na ho Yeh daur-e-nukta-cheen hai, kahin chhup ke baith reh Jis dil mein tu makeen hai, wahin chhup ke baith reh Ghaafil hai tujh se hairat-e-ilm aafreeda dekh ! Joya nahin teri nigah-e-na-raseeda dekh Rehne de justujoo mein khayaal-e-buland ko Hairat mein chhod deeda-e-hikmat pasand ko Jis ki bahaar tu ho yeh aisa chaman nahin Qaabil teri namood ke yeh anjuman nahin Yeh anjuman hai kushta-e-nazaara-e-majaaz Maqsad teri nigaah ka khalwat sara-e-raaz Har dil may-e-khayaal ki masti se choor hai Kuchh aur aajkal ke kaleemon ka taur hai