Jinhein main dhoondta tha aasmanon mein zameenon mein
20th Century Allama Iqbal Urdutransliterator: thothica
work_id: "55b25cac-46ff-446c-bfe7-0ae5b8541ad8" work_slug: "allama-iqbal-bang-e-dara-part-1-55b25c" work_title: "Bang-E-Dara Part 1" author_name: Allama Iqbal chapter_number: 4 chapter_title: Jinhein main dhoondta tha aasmanon mein zameenon mein chapter_slug: "04-jinhein-main-dhoondta-tha-aasmanon-mein-zameenon-m" variant_id: "9487f6ee-5a85-4107-bc9d-727ff3ee182b" content_type: transliteration layout: verse language: Urdu source_language: Urdu language_direction: ltr script: latin word_count: 309 estimated_read_time: 2
Jinhein main dhoondta tha aasmanon mein zameenon mein
Jinhein main dhoondta tha aasmanon mein zameenon mein Woh nikle mere zulmat-khana-e-dil ke makeenon mein Haqeeqat apni aankhon par numayan jab hui apni Makaan nikla hamare khana-e-dil ke makeenon mein Agar kuch aashna hota mazaq-e-jabeha-saai se Toh sang-e-aastan-e-Kaaba ja milta jabeenon mein Kabhi apna bhi nazara kiya hai tu ne ae Majnun Ke Laila ki tarah tu khud bhi hai mehmil-nasheenon mein Maheene vasl ke ghariyon ki surat udte jaate hain Magar ghariyan judaai ki guzarti hain maheenon mein Mujhe roke ga tu ae nakhuda kya gharq hone se Ke jin ko doobna ho, doob jaate hain safeenon mein Chupaya husn ko apne Kaleem-Ullah se jisne Wohi naaz-afreen hai jalwa-pera naazneenon mein Jala sakti hai shama-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki Ilahi! kya chhupa hota hai ehl-e-dil ke seenon mein Tamanna-e-dard-e-dil ki ho toh kar khidmat faqeeron ki Nahin milta yeh gauhar badshahon ke khazeenon mein Na pooch in khirqa-poshon ki, iradat ho toh dekh un ko Yad-e-baiza liye baithe hain apni aasteenon mein Tarasti hai nigaah-e-na-rasa jis ke nazare ko Woh raunaq-e-anjuman ki hai inhi khalwat-guzinon mein Kisi aise sharar se phoonk apne khirman-e-dil ko Ke khursheed-e-qayamat bhi ho tere khosha-cheenon mein Mohabbat ke liye dil dhoond koi tootne wala Yeh woh mai hai jise rakhte hain naazuk aabgeenon mein Sarapa husn ban jaata hai jis ke husn ka aashiq Bhala ae dil haseen aisa bhi hai koi haseenon mein Phadak utha koi teri adaa-e-'Ma Arafna' par Tera rutba raha barh charh ke sab naaz-afreenon mein Numayan ho ke dikhla de kabhi un ko jamaal apna Bahut muddat se charche hain tere bareek-beenon mein Khamosh ae dil!, bhari mehfil mein chillana nahin achha Adab pehla qareena hai mohabbat ke qareenon mein Bura samjhun unhein mujh se toh aisa ho nahin sakta Ke main khud bhi toh hoon 'Iqbal' apne nukta-cheenon mein